Monday, September 03, 2007

Another brainwave for penning a few lines

As I say again, it has been a long time since I wrote something here. Today felt like posting a few lines here which I had written for some of my closest friends......

Kabhi intezaar bhi mein hai kuch aisa mazza,
Shayad unke deedar kee yahi hai sazza
Deedar na de, lekin apni yaadon ke khanjar se
Mar na de hame yun, yahi hai iltezza

Kuch paakar kuch khone mein dard mahsoos hota hai,
Shaayad dard ko paakar dil mehfooz hota hai
Lekin jo nahi mila ho kabhi bhi, kaheen bhi
Usse khona to poora namumkin hee hota hai

Tum pyaar se jab gussa karte ho agar,
Shayad hamari bhool hee sahi, magar,
Gusse mein jo pyaar chalakta hai,
Woh mazza to sharaab mein bhi nahi dikhta kidhar

Tumhe yun saath dekh kar aisa laga,
Shayad isi ko khushi kehte hain,
Agar yahi khushi hai to chaahat hai hamaari,
Kee kushi se kate saari zindagi tumhaari

Would want to write a few more lines, waiting for more inspiration...

1 comment:

Rupak Das said...

Wah wah wah wah...
Dil cheeer ke rakh diya mere sheroo...